Meri deewangi daikho Jawaban us ko likhta hooN. "Tumhein kisne kaha pagli tumhein main yaad karta hoon."
"subah se shaam office main chiragh-i-umr jalta hai phir us k baad duniya kee kaee majbooriyan hai jo Meree chahat ke pairon me bediyaa daal deti hain Tumhein phir yaad karne ki Mujhe fursat kahaan pagli!"
"Mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay Tehelnay, jagnay, ronay ke mauqay hee naheen miltay." "SitarooN se millay arsa hua. naraz hon shayad." "Kitabon se shughaf maira abhi waisay he qayem hai magar itna hua hai ab unahin arsay main parhta hoon" "Tumhein kisne kaha pagli tumhein main yaad karta hoon"
Meri deewangi dekho, Ki ye likh to diya usko, .
"Ki main khud ko bhulanay ki . Musalsal justjoo mein hoon. "Magar ye justjoo meri Bohot naakaam rehti hai. Mere din raat mein ab bhi Usee kee shaam rehti hai. mere lafzo ki har mala usee kee naam rahati hai. purani baat hai jo log aksar gungunate hai . "unhe hum yaad karte hai zinko hum bhul jate hai "
Usse dil se bhulaoon, tab hi uskee yaad aye na. Main uskee yaad ka daftar Liye phirta hoon har lehza. Aur uske khat ka ik jumla, "tumhein main yaad aati hoon?" Meri chahat ki shiddat mein Kamee honay nahee deta. Bohot raatein jagaata hai. Mujhe sonay naheen deta.
No comments:
Post a Comment