Showing posts with label poem. Show all posts
Showing posts with label poem. Show all posts

Tuesday, April 07, 2009

ajab pagal si ladki hai



Meri deewangi daikho Jawaban us ko likhta hooN. "Tumhein kisne kaha pagli tumhein main yaad karta hoon."




"subah se shaam office main chiragh-i-umr jalta hai phir us k baad duniya kee kaee majbooriyan hai jo Meree chahat ke pairon me bediyaa daal deti hain Tumhein phir yaad karne ki Mujhe fursat kahaan pagli!"




"Mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay Tehelnay, jagnay, ronay ke mauqay hee naheen miltay." "SitarooN se millay arsa hua. naraz hon shayad." "Kitabon se shughaf maira abhi waisay he qayem hai magar itna hua hai ab unahin arsay main parhta hoon" "Tumhein kisne kaha pagli tumhein main yaad karta hoon"




Meri deewangi dekho, Ki ye likh to diya usko, .


"Ki main khud ko bhulanay ki . Musalsal justjoo mein hoon. "Magar ye justjoo meri Bohot naakaam rehti hai. Mere din raat mein ab bhi Usee kee shaam rehti hai. mere lafzo ki har mala usee kee naam rahati hai. purani baat hai jo log aksar gungunate hai . "unhe hum yaad karte hai zinko hum bhul jate hai "




Usse dil se bhulaoon, tab hi uskee yaad aye na. Main uskee yaad ka daftar Liye phirta hoon har lehza. Aur uske khat ka ik jumla, "tumhein main yaad aati hoon?" Meri chahat ki shiddat mein Kamee honay nahee deta. Bohot raatein jagaata hai. Mujhe sonay naheen deta.




ajab pagal si ladki hai

Ajab pagal si ladki hai,
Mujhe har khat mein likhti hai,
"Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhein main yaad aati hoon?"

"Meri yadein satati hain?
Meri batein jagati hain?
Kabhi khwabon mein aa aa kar,
Meri aankhein rulati hain?"

"Kisi khamosh rastay par,
Kabhi tanha guzartay mein,
Meri aawaaz ka dhoka
Tumhein chaunka hi deta hai?"

"Thithurti sard raton mein,
Tehelne chhat pe jaate ho?
Falak ke sab sitaron ko
Mere qisse sunatay ho?"

"Kitabon se tumharay ishq mein
Koi kamee ayee?
ya meri yaad ki shiddat se
aankho me koi nami ayee ?"

Ajab pagal si ladki hai,
Mujhe har khat mein likhti hai, .
"Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhein main yaad aati hoon?"

REPLY OF THIS POST IN MY NEXT POST .................................

ajab pagal si ladki thi

hi friend i got this gazal from some where ...but i like it very much ..... so it's here for you ......

girl that writer remembering in memories ........ now that girl not near to writer .....

Ajab Pagal Si Larki Thi Mujhay Har Roz Kehti ThiBatao Kuch Naya Likha ? Kabhi Uss Se Jo Kehta Thak Main Ne Nazm Likhi HayMagar Unwan Dena HayBohat Betab Hoti ThiVo Kehti ThiSunao... Main Isay Acha Sa Ik Unwan Deti Hoon Vo Meri Nazm Sunti Thi Aur Uss Ki Bolti AankheinKisi Missrey,Kisi Tashbeeh Par Yun Muskurati Thin Mujhay Lafzoon Se Kiranein phootTi Mehsoos Hoti Thin Vo Phir Iss Nazm Ko Acha Sa Ik Unwan Deti Thi Aur Uss k Aakhri Missrey k NeechayIk Adaay Be Niazi SeVo Apna Naam Likhti Thi Main Kehta

ThaSuno Yeh Nazm Meri HayTo Phir Tum Ne Apnay Naam Se Mansoob Kar Li Hay ? Meri Yeh Baat Sun Kar Uss Ki Aankhein Muskurati Thin Vo Kehti Thi,

SunoSaada Sa Rishta Hayk Jaisy Tum Mere Ho,Iss Tarah Yeh Nazm Meri Hay Ajab Pagal Si Larki Thi...!!!

now in next post .....writer wrote about the girl .........jo abhi hai .....kahi to hai

Thursday, March 26, 2009

mohabbat ho hi jati hai.

bachao lakh dil ko ,mohabbat ho hi jati hai. najar akhir najar hai yah shararat ho hi jati hai. safar is zindagi ka taya akele ho nahi sakta. koi,apana bhi sathi ho yah chahat ho hi jati hai.

nahi kuch hosh apna dundhate hain har taraf unko.diwane hain,diwano ki yah halat ho hi jati hai. kare ab unse kya sikwa bhala anpni tabahi ka. dilo ko tod dena zinki adat ho hi jati hai.

agar wo sath hon,apne to gulasan ho ya virana. jagah koi bhi ho misle jannat ho hi jati hai. chupaya ja nahi sakta mohbbat ke fasane ko. jamane bhar ko jahir yah hakikat ho hi jati hai.

yah adat hi nahi yu to kisi se kuch kahe kabhi. magar jab tootata hai dil,shikayat ho hi jati hai.

Wednesday, March 25, 2009

samjho to tumare liye na samjho to humare liye

कोई दीवाना कहता है, कोई पागल समझता है !

मगर धरती की बेचैनी को बस बादल समझता है !!

मैं तुझसे दूर कैसा हूँ , तू मुझसे दूर कैसी है !

ये तेरा दिल समझता है या मेरा दिल समझता है !!



मोहब्बत एक एहसासों की पावन सी कहानी है !

कभी कबीरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है !!

यहाँ सब लोग कहते हैं, मेरी आंखों में आँसू हैं !

जो तू समझे तो मोती है, जो ना समझे तो पानी है !!



समंदर पीर का अन्दर है, लेकिन रो नही सकता !

यह आँसू प्यार का मोती है, इसको खो नही सकता !!

मेरी चाहत को दुल्हन तू बना लेना, मगर सुन ले !

जो मेरा हो नही पाया, वो तेरा हो नही सकता !!



भ्रमर कोई कुमुदुनी पर मचल बैठा तो हंगामा!

हमारे दिल में कोई ख्वाब पल बैठा तो हंगामा!!

अभी तक डूब कर सुनते थे सब किस्सा मोहब्बत का!

मैं किस्से को हकीक़त में बदल बैठा तो हंगामा!!

Wednesday, April 25, 2007

Thursday, December 21, 2006

khoya pyar




kyo rakhu main ab apni kalam mein syahi,
jab koi arman dil me machalta hi nahi ,

na jane kyu sabhi shak karte hai mujh par,

jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi ,

kashish to bahaut thi mere pyar mein magar,

kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi ,

agar khuda mile to us se apna pyar mangunga,

par suna hai wo marne se pehle milta hi nahi......

Sunday, November 12, 2006

mujhay tumsay


hi to all ,
only for one girl who never belive on my love.........

mujhay tumsay mohabbat hay

Kisi kumzoor lamhe meAgar
me tum se ye keh doon
Mujhe tum se muhabbat hai
Tum ye mat samajh lena
Mein ne sach kaha ho ga
Aisi dilnasheen baatoon ko
Aise dilbar peraye me kehna
Mujhe buchpan se aata hai
Meri aankhein mera chehra
Mera ye be sakhta lehja
Ye sab kuch jhoot kehta hai mager
Is jhoot me aik sach bhi hai
ke mujhay tumsay mohabbat hay
mujhay tumsay mohabbat hay

Monday, November 06, 2006

mother poem


MOTHER

A WORD OF LOVE ,
A WORD OF CARE ,
THE MANY PROBLEM
IS READY TO SHARE .

A STATUS IF KINDNESS
WHO OPEN THE PATH OF PRAYERS .
THE GARDEN OF AFFECTION
AND THE FLOWER OF CHEER .

SHE IS THE “MASSHIHA” OF OUR HEART
WHO WIPES AWAY OUR TEARS .