Thursday, March 26, 2009

mohabbat ho hi jati hai.

bachao lakh dil ko ,mohabbat ho hi jati hai. najar akhir najar hai yah shararat ho hi jati hai. safar is zindagi ka taya akele ho nahi sakta. koi,apana bhi sathi ho yah chahat ho hi jati hai.

nahi kuch hosh apna dundhate hain har taraf unko.diwane hain,diwano ki yah halat ho hi jati hai. kare ab unse kya sikwa bhala anpni tabahi ka. dilo ko tod dena zinki adat ho hi jati hai.

agar wo sath hon,apne to gulasan ho ya virana. jagah koi bhi ho misle jannat ho hi jati hai. chupaya ja nahi sakta mohbbat ke fasane ko. jamane bhar ko jahir yah hakikat ho hi jati hai.

yah adat hi nahi yu to kisi se kuch kahe kabhi. magar jab tootata hai dil,shikayat ho hi jati hai.

1 comment:

  1. Anonymous2:09 AM

    I found these beautiful lines good observation of love sprouted from seed, nourished and then enjoyed the beauty of nature and finally....


    A genuine feeling of "FIRST LOVE" at every stage of that..

    ReplyDelete